Ghumad ghumad
kae aayen baadal
Tan
man sab harshaye badal
Ambar kae
is shyam pat par
Sajiv chitra
banye baadal
Bijli sang
kheleye ankh micholi
Priytam ki
yaad dilaye badal
Panchi laute
apne ghar pae
Manmauji sang
raas rachaye baadal
Dur hae
apni janani dhara sae to kya
Bundo sae
sandesh bhijwaye badal
Khush ho
kar lehrayi dhara bhi fir
Kheto nae
ugle hae moti
Dhol nagadey
bajaye badal
Naachey mayor
aur gaye medhak bhi
Jab ghumad
ghumad kae ayen baadal
Dika kae
nartya is bijli kaa apni taal pae
Man prafuliit
kar jaye baadal
Ghumad ghumad
kae aayen baadal
Tan man
sab harshaye badal
No comments:
Post a Comment